Jamane ki najar mein
Tu bhale hi bhangar hai
Tere bhi seene mein
Kahin to ek angar hai
Jala de haisiyat ki aaj bediyan
Chala de top ki tarah ye ediyan
Laat maar, laat maar, laat maar
No no no no
Don’t stop, don’t stop
Don’t stop, don’t stop
No no no no
Laat maar, laat maar, laat maar
No no no no
Don’t stop, don’t stop
Don’t stop no no no no don’t stop
Aaya samay abhi karne ka khwab
Pura khelenge banke sabki maut
Samjho jo chapri badal unki soch
Tu dikha bin chappal ke pairon ka khauf
To aaja ab takk ke kiye hamalya
Wo itihas ko tu badalne jaa raha
Ab tak ke jo log dete the galya
Sunna hai teko wohi hathon se talya
Tu samjha kya balya
Itana aasan nahi chadhana wo manzil
Jo tune thaan li
Bhidna usse aire gaire ka kaam nahi
Shayad teko tere jigare ki jaan nahi
Mehnat pohchati hai manzil ke station
Kar aisa kuch jisse duniya le lession
Jeene ke liye to janwar bhi jeete
Waqt aaya banne ka lafantar se legend
Lafantar se legend
Aisa karnama karde tu jhande gaadh de
Tu gaadh de
Aaye raste mein tere jo bhi faad de
Tu faad de
Tu garib hai to log sochte hain
Teri kya aukat hai
Wo jante nahi nasib ne tujhe bhi
De rakhi saugat hai
Hara de, hara de
Jo tujhe kisi mein dum nahi
Kisi mein dum nahi
Bata de tu bhi hai kisi se kam nahi
Laat maar, laat maar, laat maar
No no no no
Don’t stop, don’t stop
Don’t stop, don’t stop
No no no no
Laat maar, laat maar, laat maar
No no no no
Don’t stop, don’t stop
Don’t stop no no no no don’t stop