Umar Ki Raftaar Waqt Ki Maar Sahenge Chehre Jism Chale Jayenge Par Zinda Rahenge Chehre
Khoye Huye Sapno Mein Bandhe Huye Apno Mein Jaane Pehchane Se Kuch Anjaane Se
Pyar Mein Apnate Huye Gunaah Ko Chupate Huye Safar Karte Sadiyon Ka Bahao Jaise Nadiyon Ka
Daulat Ki Aag Mein Jale Jale Se Aur Inki Raakh Mein Bujhe Bujhe Se Chehre, Chehre, Chehre
Jism Chale Jayenge Par Zinda Rahenge Chehre
Masoom Bhi Yahin Hain Makkar Bhi Yahin Hain Bikte Bhi Yahin Hain Khareeddar Bhi Yahin Hain
Bachpan Jawaani Aur Budhapa Khud Ko Dekh Khud Hi Se Kaanpa Aaine Mein Khud Ko Niharte Guzari Soorat Ko Pukaarte
Waise To Duniyan Mein Sabhi Insaan Hai Waise To Duniyan Mein Sabhi Insaan Hai Phir Bhi Sabki Alag Pehchan Hai Alag Alag Pehchan Se Sharminda Rahenge Chehre Alag Alag Pehchan Se Sharminda Rahenge Chehre
Jism Chale Jayenge Par Zinda Rahenge Chehre Jism Chale Jayenge Par Zinda Rahenge Chehre